darun-e-zat ka izhaar karne wale hain
darūn-e-zāt kā iz.hār karne vaale haiñ
ajiib log haiñ had paar karne vaale haiñ
amīr-e-shahr kī saffākiyoñ ko kyā ma.alūm
phir is ke baad jo nādār karne vaale haiñ
sab aa.e haiñ mirī tīmār-dāriyoñ ke liye
magar ye log to bīmār karne vaale haiñ
phir in ko masjid-o-mandir kī fikr kyā hogī
jo har makān ko mismār karne vaale haiñ
shikam ke bojh se fāqa-zada likhārī bhī
qalam kī nok ko auzār karne vaale haiñ
kisī faqīr kī mahrūmiyoñ se nā-vāqif
faroġh-e-gumbad-o-mīnār karne vaale haiñ
hameñ salīqa-e-iz.hār kī hai fikr bahut
ham apne lafz ko me.aar karne vaale haiñ
haqīqatoñ ke talabgār hī zamāne meñ
ḳhudā kī zaat kā inkār karne vaale haiñ
darun-e-zat ka izhaar karne wale hain
ajib log hain had par karne wale hain
amir-e-shahr ki saffakiyon ko kya malum
phir is ke baad jo nadar karne wale hain
sab aae hain meri timar-dariyon ke liye
magar ye log to bimar karne wale hain
phir in ko masjid-o-mandir ki fikr kya hogi
jo har makan ko mismar karne wale hain
shikam ke bojh se faqa-zada likhaari bhi
qalam ki nok ko auzar karne wale hain
kisi faqir ki mahrumiyon se na-waqif
farogh-e-gumbad-o-minar karne wale hain
hamein saliqa-e-izhaar ki hai fikr bahut
hum apne lafz ko mear karne wale hain
haqiqaton ke talabgar hi zamane mein
KHuda ki zat ka inkar karne wale hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.