darwaza shahr-e-gul ka hua wa to kya hua
darvāza shahr-e-gul kā huā vā to kyā huā
zindāñ kā dar hai is se ziyādā khulā huā
ḳhas ko havā nasīb huī aur banā ḳhadañg
insāñ ko iḳhtiyār milā aur ḳhudā huā
tū zindagī ke ruḳh pe tabassum kī ek rau
maiñ vaqt kī mizha pe ik aañsū rukā huā
āsūdgī-e-hāl kā imkān in dinoñ
paivand hai qabā kī shikan meñ chhupā huā
kis ġham ko ab ta.alluq-e-ḳhātir kā naam deñ
ab koī ġham nahīñ hai kisī se chhupā huā
darwaza shahr-e-gul ka hua wa to kya hua
zindan ka dar hai is se ziyaada khula hua
KHas ko hawa nasib hui aur bana KHadang
insan ko iKHtiyar mila aur KHuda hua
tu zindagi ke ruKH pe tabassum ki ek rau
main waqt ki mizha pe ek aansu ruka hua
aasudgi-e-haal ka imkan in dinon
paiwand hai qaba ki shikan mein chhupa hua
kis gham ko ab talluq-e-KHatir ka nam den
ab koi gham nahin hai kisi se chhupa hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.