Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

darwaza tere shahr ka wa chahiye mujhko

Arsh Siddiqui

darwaza tere shahr ka wa chahiye mujhko

Arsh Siddiqui

darvāza tire shahr chāhiye mujh ko

jiinā hai mujhe taaza havā chāhiye mujh ko

āzār bhī the sab se ziyāda mirī jaañ par

altāf bhī auroñ se sivā chāhiye mujh ko

vo garm havā.eñ haiñ ki khultī nahīñ āñkheñ

sahrā maiñ huuñ bādal ridā chāhiye mujh ko

lab ke mire ne diye faisle saare

ik baar to bedard sunā chāhiye mujh ko

sab ḳhatm hue chaah ke aur ḳhabt ke qisse

ab pūchhne aa.e ho ki kyā chāhiye mujh ko

haañ chhūTā mire haath se iqrār dāman

haañ jurm-e-za.īfī sazā chāhiye mujh ko

mahbūs hai gumbad meñ kabūtar mirī jaañ

uḌne ko falak-bos fazā chāhiye mujh ko

samtoñ ke tilismāt meñ gum hai mirī tā.īd

qibla to hai ik qibla-numā chāhiye mujh ko

maiñ pairvi-e-ahl-e-siyāsat nahīñ kartā

ik rāsta in sab se judā chāhiye mujh ko

vo shor thā mahfil meñ ki chillā uThā 'vā.iz'

ik jām-e-mai-e-hosh-rubā chāhiye mujh ko

taqsīr nahīñ 'arsh' koī sāmne phir bhī

jiitā huuñ to jiine sazā chāhiye mujh ko

darwaza tere shahr ka wa chahiye mujh ko

jina hai mujhe taza hawa chahiye mujh ko

aazar bhi the sab se ziyaada meri jaan par

altaf bhi auron se siwa chahiye mujh ko

wo garm hawaen hain ki khulti nahin aankhen

sahra main hun baadal ki rida chahiye mujh ko

lab si ke mere tu ne diye faisle sare

ek bar to bedard suna chahiye mujh ko

sab KHatm hue chah ke aur KHabt ke qisse

ab puchhne aae ho ki kya chahiye mujh ko

han chhuTa mere hath se iqrar ka daman

han jurm-e-zaifi ki saza chahiye mujh ko

mahbus hai gumbad mein kabutar meri jaan ka

uDne ko falak-bos faza chahiye mujh ko

samton ke tilismat mein gum hai meri taid

qibla to hai ek qibla-numa chahiye mujh ko

main pairwi-e-ahl-e-siyasat nahin karta

ek rasta in sab se juda chahiye mujh ko

wo shor tha mahfil mein ki chilla uTha 'waiz'

ek jam-e-mai-e-hosh-ruba chahiye mujh ko

taqsir nahin 'arsh' koi samne phir bhi

jita hun to jine ki saza chahiye mujh ko

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now