darwaze ke andar ek darwaza aur
darvāze ke andar ik darvāza aur
chhupā huā hai mujh meñ jaane kyā kyā aur
koī ant nahīñ man ke sūne-pan kā
sannāTe ke paar hai ik sannāTā aur
kabhī to lagtā hai jitnā hai kaafī hai
aur kabhī lagtā hai aur zarā sā aur
sach kahne par ḳhush honā to duur rahā
kiyā zamāne ne mujh ko sharminda aur
ajab musāfir huuñ maiñ merā safar ajiib
merī manzil aur hai merā rasta aur
auroñ jaise aur na jaane kitne haiñ
koī kahāñ hai lekin mere jaisā aur
darwaze ke andar ek darwaza aur
chhupa hua hai mujh mein jaane kya kya aur
koi ant nahin man ke sune-pan ka
sannaTe ke par hai ek sannaTa aur
kabhi to lagta hai jitna hai kafi hai
aur kabhi lagta hai aur zara sa aur
sach kahne par KHush hona to dur raha
kiya zamane ne mujh ko sharminda aur
ajab musafir hun main mera safar ajib
meri manzil aur hai mera rasta aur
auron jaise aur na jaane kitne hain
koi kahan hai lekin mere jaisa aur
- Book : Vajood (Pg. 45)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.