dasht aankhon mein tha aawaz mein virani thi
dasht āñkhoñ meñ thā āvāz meñ vīrānī thī
khā gayā shahr use kahte haiñ dīvānī thī
lams ik dhuup kā kaafī thā samajh jaane ko
barf thā jism magar rūh-e-ravāñ paanī thī
jab talak ishq sunātā rahā ham sunte rahe
baad is ke to kahānī baḌī be-ma.anī thī
ek lahze meñ nazar aa gayā thā sach ham ko
ziist āñkhoñ se guzartī huī uryānī thī
dekhte dekhte āñkhoñ meñ utar aa.ī thī
har nazāre meñ nihāñ ik na.ī hairānī thī
maiñ ne ḳhud par kabhī hone na dī zāhir lekin
mujh meñ terī kamī har shaḳhs ne pahchānī thī
tum ne bekār hī hāthoñ ko jalāyā 'mīrā'
aag kuchh der meñ vaise bhī to bujh jaanī thī
dasht aankhon mein tha aawaz mein virani thi
kha gaya shahr use kahte hain diwani thi
lams ek dhup ka kafi tha samajh jaane ko
barf tha jism magar ruh-e-rawan pani thi
jab talak ishq sunata raha hum sunte rahe
baad is ke to kahani baDi be-mani thi
ek lahze mein nazar aa gaya tha sach hum ko
zist aankhon se guzarti hui uryani thi
dekhte dekhte aankhon mein utar aai thi
har nazare mein nihan ek nai hairani thi
main ne KHud par kabhi hone na di zahir lekin
mujh mein teri kami har shaKHs ne pahchani thi
tum ne bekar hi hathon ko jalaya 'mira'
aag kuchh der mein waise bhi to bujh jaani thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.