dasht dariya zamin samundar mein
dasht dariyā zamīñ samundar meñ
kitne manzar haiñ ek manzar meñ
vo hai shālāt meñ majīd 'amjad'
ek honā nahīñ muqaddar meñ
shāhzādī naqāb ulaTtī huī
jā milī hai harīf lashkar meñ
tū na shīshe meñ ḳhud ko dekh sakā
maiñ ne dekhā hai ḳhud ko patthar meñ
sharm aatī hai soch kar 'anjum'
koī merā nahīñ mire ghar meñ
dasht dariya zamin samundar mein
kitne manzar hain ek manzar mein
wo hai shaalat mein majid 'amjad'
ek hona nahin muqaddar mein
shahzadi naqab ulaTti hui
ja mili hai harif lashkar mein
tu na shishe mein KHud ko dekh saka
main ne dekha hai KHud ko patthar mein
sharm aati hai soch kar 'anjum'
koi mera nahin mere ghar mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.