dasht-e-dil mein sarab taza hain
dasht-e-dil meñ sarāb taaza haiñ
bujh chukī aañkh ḳhvāb taaza haiñ
dāstān-e-shikast-e-dil hai vahī
ek do chaar baab taaza haiñ
koī mausam ho dil-gulistāñ meñ
aarzū ke gulāb taaza haiñ
dostī kī zabāñ huī matrūk
nafratoñ ke nisāb taaza haiñ
āgahī ke hamārī āñkhoñ par
jis qadar haiñ azaab taaza haiñ
zaḳhm-dar-zaḳhm dil ke khāte meñ
dostoñ ke hisāb taaza haiñ
sar pe būḌhī zamīn ke 'amjad'
ab ke ye āftāb taaza haiñ
dasht-e-dil mein sarab taza hain
bujh chuki aankh KHwab taza hain
dastan-e-shikast-e-dil hai wahi
ek do chaar bab taza hain
koi mausam ho dil-gulistan mein
aarzu ke gulab taza hain
dosti ki zaban hui matruk
nafraton ke nisab taza hain
aagahi ke hamari aankhon par
jis qadar hain azab taza hain
zaKHm-dar-zaKHm dil ke khate mein
doston ke hisab taza hain
sar pe buDhi zamin ke 'amjad'
ab ke ye aaftab taza hain
- Book : Fishaar (Pg. 88)
- Author : Jahangir Book Depot
- Publication : Jahangir Book Depot (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.