dasht-e-ehsas mein aawaz-e-dara milti hai
dasht-e-ehsās meñ āvāz-e-darā miltī hai
mujh ko har saañs meñ tamhīd-e-navā miltī hai
raat so jaa.e to bedār havā miltī hai
ghar kī dahlīz pe qadmoñ kī sadā miltī hai
tujh ko shāyad nahīñ mālūm harīf-e-jāda
ye saḌak dasht-e-balā-ḳhez se jā miltī hai
ham jise bechnā chāheñ vo ḳharīdeñ kyoñ kar
zindagī ham se tū bāzār meñ kyā miltī hai
chāñd paane ko musir ho koī rotā bachcha
ā.īna haath meñ de do to jazā miltī hai
ghar ke shīshoñ pe tirā naam likhā hai jab se
dhuup gul-dān ke phūloñ se ḳhafā miltī hai
tujh ko socheñ bhī nahīñ aur kahānī kī tarah
baat kyoñ kūcha-o-bāzār se jā miltī hai
dasht-e-ehsas mein aawaz-e-dara milti hai
mujh ko har sans mein tamhid-e-nawa milti hai
raat so jae to bedar hawa milti hai
ghar ki dahliz pe qadmon ki sada milti hai
tujh ko shayad nahin malum harif-e-jada
ye saDak dasht-e-bala-KHez se ja milti hai
hum jise bechna chahen wo KHariden kyon kar
zindagi hum se tu bazar mein kya milti hai
chand pane ko musir ho koi rota bachcha
aaina hath mein de do to jaza milti hai
ghar ke shishon pe tera nam likha hai jab se
dhup gul-dan ke phulon se KHafa milti hai
tujh ko sochen bhi nahin aur kahani ki tarah
baat kyon kucha-o-bazar se ja milti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.