dasht-e-ehsas mein hum itne akele kab the
dasht-e-ehsās meñ ham itne akele kab the
dukh to pahle bhī the par itne ghanere kab the
ham to nikle the havāoñ kā muqaddar le kar
ham kisī moḌ pe dam lene ko Thahre kab the
jaise anjān koī jaise koī begāna
ḳhud se katrā ke ham aise bhī nikalte kab the
buġhz kī dhuup se ham bhaag ke jaate to kahāñ
shahr-e-ahbāb meñ vā dil ke darīche kab the
har taraf shāḳhoñ pe laTkī thī 'sabā' ḳhāmoshī
raat ke peḌ meñ āvāz ke jhūle kab the
dasht-e-ehsas mein hum itne akele kab the
dukh to pahle bhi the par itne ghanere kab the
hum to nikle the hawaon ka muqaddar le kar
hum kisi moD pe dam lene ko Thahre kab the
jaise anjaan koi jaise koi begana
KHud se katra ke hum aise bhi nikalte kab the
bughz ki dhup se hum bhag ke jate to kahan
shahr-e-ahbab mein wa dil ke dariche kab the
har taraf shaKHon pe laTki thi 'saba' KHamoshi
raat ke peD mein aawaz ke jhule kab the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.