dasht-e-gham mein saya-e-gesu na DhunDh
dasht-e-ġham meñ sāya-e-gesū na DhūñDh
pattharoñ meñ dard kī ḳhushbū na DhūñDh
zindagī meñ ab vo rañg-o-bū na DhūñDh
gul-adā gul-pairahan gul-rū na DhūñDh
apne hoñToñ par tabassum kar talāsh
vaqt ke ruḳhsār par aañsū na DhūñDh
mastiyoñ meñ raqs-e-tā.ūs ab kahāñ
shoḳhiyoñ meñ vo ram-e-āhū na DhūñDh
maujzan hai dil meñ jo tūfāñ vo dekh
ḳhushk āñkhoñ meñ mirī aañsū na DhūñDh
ho sake to is rivāyat ko na toḌ
maiñ tujhe DhūñDūñgā mujh ko tū na DhūñDh
dushmanoñ meñ bhī mahāsin kar talāsh
ham-nafas tanqīs ke pahlū na DhūñDh
dasht-e-gham mein saya-e-gesu na DhunDh
pattharon mein dard ki KHushbu na DhunDh
zindagi mein ab wo rang-o-bu na DhunDh
gul-ada gul-pairahan gul-ru na DhunDh
apne honTon par tabassum kar talash
waqt ke ruKHsar par aansu na DhunDh
mastiyon mein raqs-e-taus ab kahan
shoKHiyon mein wo ram-e-ahu na DhunDh
maujzan hai dil mein jo tufan wo dekh
KHushk aankhon mein meri aansu na DhunDh
ho sake to is riwayat ko na toD
main tujhe DhunDunga mujh ko tu na DhunDh
dushmanon mein bhi mahasin kar talash
ham-nafas tanqis ke pahlu na DhunDh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.