dasht-e-guman ko nur-e-yaqin ka jamal de
dasht-e-gumāñ ko nūr-e-yaqīñ kā jamāl de
tārīkiyoñ ke ruḳh pe saverā uchhāl de
palTūñ maiñ ḳhālī haath tujhe kab ravā hai ye
kuchh tohmateñ hī lā mirī jholī meñ Daal de
lahja bigāḌ kar na kisī se kalām kar
nafrat bhī ho agar to salīqe se Taal de
peshāniyoñ ke baal usī kī pakaḌ meñ haiñ
jis ko bhī jaise chāhe urūj-o-zavāl de
shāyad ki rang laa.e mohabbat kī zindagī
'fārūq' dil kā ḳhuun bhī ashkoñ meñ Dhaal de
dasht-e-guman ko nur-e-yaqin ka jamal de
tarikiyon ke ruKH pe sawera uchhaal de
palTun main KHali hath tujhe kab rawa hai ye
kuchh tohmaten hi la meri jholi mein Dal de
lahja bigaD kar na kisi se kalam kar
nafrat bhi ho agar to saliqe se Tal de
peshaniyon ke baal usi ki pakaD mein hain
jis ko bhi jaise chahe uruj-o-zawal de
shayad ki rang lae mohabbat ki zindagi
'faruq' dil ka KHun bhi ashkon mein Dhaal de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.