dasht-e-hawas mein dauDte phirne se kaam tha
dasht-e-hawas mein dauDte phirne se kaam tha
Fida-ul-Mustafa Fidwi
MORE BYFida-ul-Mustafa Fidwi
dasht-e-havas meñ dauḌte phirne se kaam thā
ḳhvāhish kā asp-e-tez bhī kyā be-lagām thā
par phaḌphaḌā.e uḌne kī himmat na kar sake
bas ik uḌaan bharne meñ qissa tamām thā
jo nashsha-e-hayāt se sarshār thā kabhī
hāthoñ meñ zindagī kā liye ḳhālī jaam thā
mulk-e-adam ravāna hue rah-ravān-e-shauq
thā koī sust-rau to koī tez-gām thā
kab mustaqil qiyām kisī kā yahāñ rahā
mehmāñ-sarā meñ aisā kahāñ ehtimām thā
dasht-e-hawas mein dauDte phirne se kaam tha
KHwahish ka asp-e-tez bhi kya be-lagam tha
par phaDphaDae uDne ki himmat na kar sake
bas ek uDan bharne mein qissa tamam tha
jo nashsha-e-hayat se sarshaar tha kabhi
hathon mein zindagi ka liye KHali jam tha
mulk-e-adam rawana hue rah-rawan-e-shauq
tha koi sust-rau to koi tez-gam tha
kab mustaqil qiyam kisi ka yahan raha
mehman-sara mein aisa kahan ehtimam tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.