Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dasht-e-jalal phaila hai aur be-‘asa hun main

Amir Hamza Saqib

dasht-e-jalal phaila hai aur be-‘asa hun main

Amir Hamza Saqib

MORE BYAmir Hamza Saqib

    dasht-e-jalāl phailā hai aur be-‘asā huuñ maiñ

    hairat-zada huuñ zinda huuñ kyā mo'jiza huuñ maiñ

    mere ḳhudā-e-‘ishq kahāñ hai kalām kar

    rusvā.iyoñ ke tuur pe kab se khaḌā huuñ maiñ

    galiyāñ simaT ke mujh meñ jalāne lagīñ diye

    kis lau meñ gum huuñ kis taraf rahā huuñ maiñ

    ab kis safar pe jā.ūñ batā nāznīn-e-vahm

    apnī qabā-e-rūh bhī tah kar chukā huuñ maiñ

    bāshindagān-e-qarya-e-dil saf-ba-saf raheñ

    ik kā.enātī ġham girah kholtā huuñ maiñ

    merā pata Thikāna kahāñ juz mire sivā

    merī talāsh kyā ki abhī gum-shuda huuñ maiñ

    dasht-e-jalal phaila hai aur be-‘asa hun main

    hairat-zada hun zinda hun kya mo'jiza hun main

    mere KHuda-e-‘ishq kahan hai kalam kar

    ruswaiyon ke tur pe kab se khaDa hun main

    galiyan simaT ke mujh mein jalane lagin diye

    kis lau mein gum hun kis ki taraf ja raha hun main

    ab kis safar pe jaun bata naznin-e-wahm

    apni qaba-e-ruh bhi tah kar chuka hun main

    bashindagan-e-qarya-e-dil saf-ba-saf rahen

    ek kaenati gham ki girah kholta hun main

    mera pata Thikana kahan juz mere siwa

    meri talash kya ki abhi gum-shuda hun main

    Source :
    • Book : Jism Ka Bartan Sard Pada Hai (Pg. 46)
    • Author : Ameer Hamza Saqib
    • Publication : Rekhta Publications (2019)
    • Edition : First
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now