dasht-e-junun mein jalwa-e-KHuban ki justuju
dasht-e-junūñ meñ jalva-e-ḳhūbāñ kī justujū
kitnī ajiib hai dil-e-nādāñ kī justujū
guzrī thī zulf-e-yār se ho kar nasīm-e-shauq
ab tak hai us kī bū-e-pareshāñ kī justujū
hairat-zada huuñ dekh ke ye inqalāb-e-nau
hai shāḳh-e-gul ko aaj gulistāñ kī justujū
liije fanā kā dars patañgoñ kī ḳhaak se
āsāñ nahīñ hai sham-e-farozāñ kī justujū
'shabnam' kī āñkheñ rātoñ ko rotī haiñ is liye
hotī hai us ko mehr-e-daraḳhshāñ kī justujū
dasht-e-junun mein jalwa-e-KHuban ki justuju
kitni ajib hai dil-e-nadan ki justuju
guzri thi zulf-e-yar se ho kar nasim-e-shauq
ab tak hai us ki bu-e-pareshan ki justuju
hairat-zada hun dekh ke ye inqalab-e-nau
hai shaKH-e-gul ko aaj gulistan ki justuju
lije fana ka dars patangon ki KHak se
aasan nahin hai sham-e-farozan ki justuju
'shabnam' ki aankhen raaton ko roti hain is liye
hoti hai us ko mehr-e-daraKHshan ki justuju
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.