dasht-e-pur-haul ki diwar girane ke liye
dasht-e-pur-haul kī dīvār girāne ke liye
ik dhamākā hī sahī dil ko hilāne ke liye
roz-e-avval se jise roke khaḌī haiñ rāheñ
rāsta chāhiye us shaḳhs ko laane ke liye
raunaq-e-dīd to mushkil thī magar aise hī
us ko āvāz lagānī thī bulāne ke liye
rāsta bhuul gayā huuñ maiñ ḳhud apne ghar kā
bhūle-bhaTkoñ ko koī raah dikhāne ke liye
kyā ḳhabar thī vahī dīvār giregī mujh par
jis kī tasvīr utārī thī sajāne ke liye
bhūle bisre kabhī ḳhvāboñ meñ chale aanā thā
be-kasī dasht-e-mohabbat kī baḌhāne ke liye
us ne darvāze pe ek dard sajā rakkhā hai
ghar ke māhaul ko rangīn banāne ke liye
raushnī jis kī sitāroñ kā jigar chaak kare
ik diyā aisā jalānā hai zamāne ke liye
ḳhuun mahke to kabhī dard kī būñdeñ Tapkeñ
sher ik chāhiye 'ajmal' ke fasāne ke liye
dasht-e-pur-haul ki diwar girane ke liye
ek dhamaka hi sahi dil ko hilane ke liye
roz-e-awwal se jise roke khaDi hain rahen
rasta chahiye us shaKHs ko lane ke liye
raunaq-e-did to mushkil thi magar aise hi
us ko aawaz lagani thi bulane ke liye
rasta bhul gaya hun main KHud apne ghar ka
bhule-bhaTkon ko koi rah dikhane ke liye
kya KHabar thi wahi diwar giregi mujh par
jis ki taswir utari thi sajaane ke liye
bhule bisre kabhi KHwabon mein chale aana tha
be-kasi dasht-e-mohabbat ki baDhane ke liye
us ne darwaze pe ek dard saja rakkha hai
ghar ke mahaul ko rangin banane ke liye
raushni jis ki sitaron ka jigar chaak kare
ek diya aisa jalana hai zamane ke liye
KHun mahke to kabhi dard ki bunden Tapken
sher ek chahiye 'ajmal' ke fasane ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.