Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dasht-e-pur-haul mein ye kis ki sada gunjti hai

Shams Faridee

dasht-e-pur-haul mein ye kis ki sada gunjti hai

Shams Faridee

MORE BYShams Faridee

    dasht-e-pur-haul meñ ye kis sadā gūñjtī hai

    ḳhauf-o-dahshat se yahāñ saarī fazā gūñjtī hai

    kaisā sannāTā hai is ālam-e-āb-o-gil meñ

    ab kahīñ maiñ huuñ na ab merī sadā gūñjtī hai

    dil meñ jitne bhī the hangāme subuk-dosh hue

    mere atrāf meñ ḳhāmosh balā gūñjtī hai

    koī āvāz sunā.ī nahīñ detī yā-rab

    terī sargoshī magar mujh meñ sadā gūñjtī hai

    sīna-e-gul se ubalte haiñ lahū ke dhāre

    ab havāoñ meñ kahāñ bol vafā gūñjtī hai

    har taraf ḳhauf ke mañDlāne lage haiñ bādal

    bahr-e-zulmāt se yuuñ mauj-e-fazā gūñjtī hai

    kyā ḳhabar bāb-e-asar ho ki na ho ai 'shams'

    sar-e-aflāk magar merī duā gūñjtī hai

    dasht-e-pur-haul mein ye kis ki sada gunjti hai

    KHauf-o-dahshat se yahan sari faza gunjti hai

    kaisa sannaTa hai is aalam-e-ab-o-gil mein

    ab kahin main hun na ab meri sada gunjti hai

    dil mein jitne bhi the hangame subuk-dosh hue

    mere atraf mein KHamosh bala gunjti hai

    koi aawaz sunai nahin deti ya-rab

    teri sargoshi magar mujh mein sada gunjti hai

    sina-e-gul se ubalte hain lahu ke dhaare

    ab hawaon mein kahan bol wafa gunjti hai

    har taraf KHauf ke manDlane lage hain baadal

    bahr-e-zulmat se yun mauj-e-faza gunjti hai

    kya KHabar bab-e-asar ho ki na ho wa ai 'shams'

    sar-e-aflak magar meri dua gunjti hai

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now