dasht-e-suKHan mein aae hain ye bhi kamal hai
dasht-e-suKHan mein aae hain ye bhi kamal hai
Jangveer Singh 'Rakesh'
MORE BYJangveer Singh 'Rakesh'
dasht-e-suḳhan meñ aa.e haiñ ye bhī kamāl hai
sab chhoḌiye sunā.iye kyā hāl-chāl hai
kuchh is tarah se pesh kareñge ham aap ko
jaise ki ik ḳhayāl kā pahlū ḳhayāl hai
zehnoñ pe gard chhā.ī hai aatā nahīñ sukūñ
ham aise jī raheñ haiñ ki jiinā muhāl hai
jis hausla-o-jazbe se kal shab laḌā charāġh
ḳhud tīrgī ne kah diyā laḌnā kamāl hai
ulfat keī rahguzar meñ ka.ī moḌ haiñ ajiib
tū saath chal paḌā hai magar be-ḳhayāl hai
maiñ jañg laḌ rahā huuñ kisī aur keī jagah
maiñ jiit bhī rahā huuñ to phir kyā kamāl hai
dasht-e-suKHan mein aae hain ye bhi kamal hai
sab chhoDiye sunaiye kya haal-chaal hai
kuchh is tarah se pesh karenge hum aap ko
jaise ki ek KHayal ka pahlu KHayal hai
zehnon pe gard chhai hai aata nahin sukun
hum aise ji rahen hain ki jina muhaal hai
jis hausla-o-jazbe se kal shab laDa charagh
KHud tirgi ne kah diya laDna kamal hai
ulfat kei rahguzar mein kai moD hain ajib
tu sath chal paDa hai magar be-KHayal hai
main jang laD raha hun kisi aur kei jagah
main jit bhi raha hun to phir kya kamal hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.