dasht-e-taKHayyulat mein jab bhi safar hua
dasht-e-taḳhayyulāt meñ jab bhī safar huā
jaane kahāñ kahāñ se hamārā guzar huā
logo kī talḳhiyoñ kā kuchh aisā asar huā
dil ke har ek goshe meñ raqs-e-sharar huā
us kī taraf se maiñ to huā be-ḳhabar magar
merī taraf se vo na kabhī be-ḳhabar huā
bigḌī hai aisī shakl havādis kī maar se
hairān aa.ina bhī mujhe dekh kar huā
ik baar hī to kāñdhe pe rakkhā thā us ne sar
phir aisā ittifāq kahāñ 'umr bhar huā
jis kī nazar meñ vus.at-e-ḳhvāb-o-ḳhayāl thī
us kā vujūd markaz-e-ahl-e-nazar huā
pahle to ik makān kī sūrat hī thā faqat
tashrīf aap laa.e to ghar merā ghar huā
us ko hamārī dasht-navardī se hai ḳhushī
is se ġharaz nahīñ ki koī dar-ba-dar huā
sab kī samajh meñ aatā kahāñ hai ye 'ilm-o-fan
jis ne samajh liyā use vo dīda-var huā
'rahbar' tavīl 'umr bhī jiine se faiz kyā
kuchh maqsad-e-hayāt na puurā agar huā
dasht-e-taKHayyulat mein jab bhi safar hua
jaane kahan kahan se hamara guzar hua
logo ki talKHiyon ka kuchh aisa asar hua
dil ke har ek goshe mein raqs-e-sharar hua
us ki taraf se main to hua be-KHabar magar
meri taraf se wo na kabhi be-KHabar hua
bigDi hai aisi shakl hawadis ki mar se
hairan aaina bhi mujhe dekh kar hua
ek bar hi to kandhe pe rakkha tha us ne sar
phir aisa ittifaq kahan 'umr bhar hua
jis ki nazar mein wusat-e-KHwab-o-KHayal thi
us ka wujud markaz-e-ahl-e-nazar hua
pahle to ek makan ki surat hi tha faqat
tashrif aap lae to ghar mera ghar hua
us ko hamari dasht-nawardi se hai KHushi
is se gharaz nahin ki koi dar-ba-dar hua
sab ki samajh mein aata kahan hai ye 'ilm-o-fan
jis ne samajh liya use wo dida-war hua
'rahbar' tawil 'umr bhi jine se faiz kya
kuchh maqsad-e-hayat na pura agar hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.