dasht-e-tanhai mein jalne ki saza jaane hai
dasht-e-tanhā.ī meñ jalne kī sazā jaane hai
kyā hai bartāv havāoñ kā diyā jaane hai
maiñ use dil ke dhaḌakne kā sabab kahtā huuñ
aur ik vo ki mujhe ḳhud se judā jaane hai
be-zamīroñ kā bhī jiinā koī jiinā hai ki bas
lazzat-e-zīst to pāband-e-anā jaane hai
maiñ ik āsūda-e-ġham huuñ sar-e-rāh-e-hastī
juz mire kaif-e-alam kaun bhalā jaane hai
tum jo is raah se guzroge to mil jā.ūñgā
merī manzil mirā naqsh-e-kaf-e-pā jaane hai
ahl-e-dānish ko kahāñ ḳhanda-labī kī mohlat
sirf dīvāna hī ye tarz-o-adā jaane hai
mujh pe kyā guzrī hai āḳhir shab-e-hijrāñ meñ 'ḳhatīb'
merā dil jaane hai yā merā ḳhudā jaane hai
dasht-e-tanhai mein jalne ki saza jaane hai
kya hai bartaw hawaon ka diya jaane hai
main use dil ke dhaDakne ka sabab kahta hun
aur ek wo ki mujhe KHud se juda jaane hai
be-zamiron ka bhi jina koi jina hai ki bas
lazzat-e-zist to paband-e-ana jaane hai
main ek aasuda-e-gham hun sar-e-rah-e-hasti
juz mere kaif-e-alam kaun bhala jaane hai
tum jo is rah se guzroge to mil jaunga
meri manzil mera naqsh-e-kaf-e-pa jaane hai
ahl-e-danish ko kahan KHanda-labi ki mohlat
sirf diwana hi ye tarz-o-ada jaane hai
mujh pe kya guzri hai aaKHir shab-e-hijran mein 'KHatib'
mera dil jaane hai ya mera KHuda jaane hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.