dasht-e-tanhai mein yun kaTi zindagi
dasht-e-tanhā.ī meñ yuuñ kaTī zindagī
saath mere bhaTaktī rahī zindagī
phir kisī race meñ thak ke gir jā.egī
dauḌtī bhāgtī hāñptī zindagī
māñgtī maiñ rahī maut se mohlateñ
chīḳhtī hī rahī zindagī zindagī
naam kyā maiñ rakhūñ zindagī ke batā
bebasī bekasī tīrgī zindagī
ḳhud-kushī kā irāda kiyā thā magar
biich meñ aa ga.ī phir tirī zindagī
chhīn kar jab gayā ḳhvāb āñkhoñ se vo
tab se patthar kī mūrat banī zindagī
saath tere guzārā kareñ kab talak
chāhiye ab hameñ dūsrī zindagī
thaam letā munazzah agar haath vo
dar-ba-dar kyoñ bhaTaktī mirī zindagī
dasht-e-tanhai mein yun kaTi zindagi
sath mere bhaTakti rahi zindagi
phir kisi race mein thak ke gir jaegi
dauDti bhagti hanpti zindagi
mangti main rahi maut se mohlaten
chiKHti hi rahi zindagi zindagi
nam kya main rakhun zindagi ke bata
bebasi bekasi tirgi zindagi
KHud-kushi ka irada kiya tha magar
bich mein aa gai phir teri zindagi
chhin kar jab gaya KHwab aankhon se wo
tab se patthar ki murat bani zindagi
sath tere guzara karen kab talak
chahiye ab hamein dusri zindagi
tham leta munazzah agar hath wo
dar-ba-dar kyon bhaTakti meri zindagi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.