dasht-e-ulfat mein bhaTakta hua aahu tu hai
dasht-e-ulfat mein bhaTakta hua aahu tu hai
Ustad Vajahat Husain Khan
MORE BYUstad Vajahat Husain Khan
dasht-e-ulfat meñ bhaTaktā huā aahū tū hai
maiñ huuñ raihān-e-mohabbat mirī ḳhushbū tū hai
dhuup meñ mere liye sard havā kā jhoñkā
aur rātoñ meñ chamaktā huā jugnū tū hai
ġham-e-dil kā koī 'unvān nahīñ ho saktā
is fasāne kā jo raushan hai vo pahlū tū hai
tū ne baḳhshā hai har ik chiiz ko paikar yā-rab
rakhne vaalā bhī har ik chiiz pe qaabū tū hai
mujh ko hai terī karīmī pe bharosa yā-rab
merā ḳhāliq mirā aaqā mirā shāhū tū hai
terī ye shān-e-hama-gīrī koī kyā samjhe
'arsh pe jalva-fagan farsh pe har-sū tū hai
maġhribī shor-sharābe haiñ añdhere 'dā.em'
ahl-e-mausīqī hai sangīt kā jugnū tū hai
dasht-e-ulfat mein bhaTakta hua aahu tu hai
main hun raihan-e-mohabbat meri KHushbu tu hai
dhup mein mere liye sard hawa ka jhonka
aur raaton mein chamakta hua jugnu tu hai
gham-e-dil ka koi 'unwan nahin ho sakta
is fasane ka jo raushan hai wo pahlu tu hai
tu ne baKHsha hai har ek chiz ko paikar ya-rab
rakhne wala bhi har ek chiz pe qabu tu hai
mujh ko hai teri karimi pe bharosa ya-rab
mera KHaliq mera aaqa mera shahu tu hai
teri ye shan-e-hama-giri koi kya samjhe
'arsh pe jalwa-fagan farsh pe har-su tu hai
maghribi shor-sharabe hain andhere 'daem'
ahl-e-mausiqi hai sangit ka jugnu tu hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.