dasht-e-viran darham-o-barham karo
dasht-e-vīrāñ darham-o-barham karo
khul ke aao aur mujh meñ ram karo
shāhzāde vasl kā pyāla uThāo
aur kanīz-e-hijr kā mātam karo
kar diyā ārām-talbī ne ḳharāb
āyat-e-jāñ paḌh ke mujh pe dam karo
ruuh ko ab ruuh se milne bhī do
zer-o-bālā pesh-o-pas kuchh kam karo
yā to guzro jaañ se be-ḳhauf-o-ḳhatar
yā sar-e-taslīm apnā ḳham karo
lafz marte jā.eñge qissa-tarāz
matn se bāhar nikal kar ġham karo
dasht-e-viran darham-o-barham karo
khul ke aao aur mujh mein ram karo
shahzade wasl ka pyala uThao
aur kaniz-e-hijr ka matam karo
kar diya aaram-talbi ne KHarab
aayat-e-jaan paDh ke mujh pe dam karo
ruh ko ab ruh se milne bhi do
zer-o-baala pesh-o-pas kuchh kam karo
ya to guzro jaan se be-KHauf-o-KHatar
ya sar-e-taslim apna KHam karo
lafz marte jaenge qissa-taraaz
matn se bahar nikal kar gham karo
- Book : Jism Ka Bartan Sard Pada Hai (Pg. 101)
- Author : Ameer Hamza Saqib
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.