dasht hai kaun-o-makan aur la-makan
dasht hai kaun-o-makāñ aur lā-makāñ
duur tak vahm-o-gumāñ aur lā-makāñ
ibtidā na intihā na rāsta
maiñ abad ke darmiyāñ aur lā-makāñ
ek dhaḌkā ḳhaak meñ Daalā huā
ek sa’i-e-rā.egāñ aur lā-makāñ
jal-bujhā hai aag meñ merā paḌāo
chār-sū merā dhuāñ aur lā-makāñ
ik zamīn-e-be-yaqīnī mere saath
ik gumān-e-lā-gumāñ aur lā-makāñ
ek sahrā zaat se aage kahīñ
ek hijrat darmiyāñ aur lā-makāñ
bādaloñ meñ gum hue jaate haiñ sab
kārvāñ-dar-kārvāñ aur lā-makāñ
ek sayyāra mire raste meñ hai
varna maiñ thā āsmāñ aur lā-makāñ
dasht hai kaun-o-makan aur la-makan
dur tak wahm-o-guman aur la-makan
ibtida na intiha na rasta
main abad ke darmiyan aur la-makan
ek dhaDka KHak mein Dala hua
ek sa’i-e-raegan aur la-makan
jal-bujha hai aag mein mera paDao
chaar-su mera dhuan aur la-makan
ek zamin-e-be-yaqini mere sath
ek guman-e-la-guman aur la-makan
ek sahra zat se aage kahin
ek hijrat darmiyan aur la-makan
baadalon mein gum hue jate hain sab
karwan-dar-karwan aur la-makan
ek sayyara mere raste mein hai
warna main tha aasman aur la-makan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.