dasht ho aur fusun aur fasana koi aur
dasht ho aur fusūñ aur fasāna koī aur
chāhiye ab hameñ vahshat kā bahāna koī aur
ham paḌe haiñ tire dar par to paḌā rahne de
ab kahāñ DhūñDne jā.eñge Thikāna koī aur
tum to hairat kā tasavvur bhī nahīñ kar sakte
tum ne dekhā hī nahīñ ā.ina-ḳhāna koī aur
tū ne girtī huī dīvār sañbhālī hī nahīñ
le gayā dekh yatīmoñ kā ḳhazāna koī aur
vaqt kartā hai safar haal se mustaqbil tak
har zamāne meñ guzartā hai zamāna koī aur
le gayā aur koī merī savārī 'āsim'
ho gayā merī masāfat pe ravāna koī aur
dasht ho aur fusun aur fasana koi aur
chahiye ab hamein wahshat ka bahana koi aur
hum paDe hain tere dar par to paDa rahne de
ab kahan DhunDne jaenge Thikana koi aur
tum to hairat ka tasawwur bhi nahin kar sakte
tum ne dekha hi nahin aaina-KHana koi aur
tu ne girti hui diwar sanbhaali hi nahin
le gaya dekh yatimon ka KHazana koi aur
waqt karta hai safar haal se mustaqbil tak
har zamane mein guzarta hai zamana koi aur
le gaya aur koi meri sawari 'asim'
ho gaya meri masafat pe rawana koi aur
- Book : Lafz Mehfooz Kar Liye Jaayen (Pg. 162)
- Author : Asim Wasti
- Publication : Rekhta Publications (2020)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.