dasht jo aaj hai kal qariya-e-jaan bhi hoga
dasht jo aaj hai kal qariya-e-jāñ bhī hogā
dil meñ jab ḳhuuñ hai to āñkhoñ se ravāñ bhī hogā
ho ga.e ġhair bhī kyā kiije usī ke āḳhir
dil kabhī de ke na sochā thā ziyāñ bhī hogā
ḳhūñ-bahā dekhiye ab jaa.e ye kis ke sar par
baat niklegī to kuchh zikr patā bhī hogā
bazm hai raqs meñ jugnū bhī chamakte sar par
sham.a gul hotī to har samt dhuāñ bhī hogā
kah ga.e hazrat-e-vā.iz bhī pate kī bāteñ
chhoḌ duuñ gar tumheñ jannat meñ makāñ bhī hogā
kab talak koī fazāoñ meñ uḌegā panchhī
mausam-e-gul hai abhī rang-e-ḳhizāñ bhī hogā
Dar ho kyoñ raat kā hai umr hī kitnī us kī
sub.h ho jaane do manzil kā nishāñ bhī hogā
dasht jo aaj hai kal qariya-e-jaan bhi hoga
dil mein jab KHun hai to aankhon se rawan bhi hoga
ho gae ghair bhi kya kije usi ke aaKHir
dil kabhi de ke na socha tha ziyan bhi hoga
KHun-baha dekhiye ab jae ye kis ke sar par
baat niklegi to kuchh zikr pata bhi hoga
bazm hai raqs mein jugnu bhi chamakte sar par
shama gul hoti to har samt dhuan bhi hoga
kah gae hazrat-e-waiz bhi pate ki baaten
chhoD dun gar tumhein jannat mein makan bhi hoga
kab talak koi fazaon mein uDega panchhi
mausam-e-gul hai abhi rang-e-KHizan bhi hoga
Dar ho kyon raat ka hai umr hi kitni us ki
subh ho jaane do manzil ka nishan bhi hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.