dasht ka lamba safar tha dur tak saya na tha
dasht kā lambā safar thā duur tak saaya na thā
lauT jaane ke sivā aage koī rasta na thā
āñdhiyāñ be-jān shāḳhoñ se uljhtīñ bhī to kyā
peḌ ke nange badan par ek bhī patta na thā
khul ke donoñ laḌ rahe the ik zarā sī baat par
rokne ke vāste ghar meñ koī būḌhā na thā
so gayā āñgan meñ maiñ phir chup kī chādar oḌh kar
khaTkhaTātā kyā mire kamre meñ darvāza na thā
bolne lagte haiñ jheñgur kaan kī dahlīz par
jism meñ mere kabhī bhī itnā sannāTā na thā
dasht ka lamba safar tha dur tak saya na tha
lauT jaane ke siwa aage koi rasta na tha
aandhiyan be-jaan shaKHon se uljhtin bhi to kya
peD ke nange badan par ek bhi patta na tha
khul ke donon laD rahe the ek zara si baat par
rokne ke waste ghar mein koi buDha na tha
so gaya aangan mein main phir chup ki chadar oDh kar
khaTkhaTata kya mere kamre mein darwaza na tha
bolne lagte hain jhengur kan ki dahliz par
jism mein mere kabhi bhi itna sannaTa na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.