dasht ke beach mein talab nazar aate hain
dasht ke beach meñ tālāb nazar aate haiñ
ham ġharīboñ ko faqat ḳhvāb nazar aate haiñ
chāñdnī khul ke jo barse kabhī sahrāoñ meñ
ret ke zarre bhī mahtāb nazar aate haiñ
jhoñpaḌe vaale to sote hī nahīñ sāvan meñ
so.eñ to ḳhvāb meñ sailāb nazar aate haiñ
dil taḌap uThtā hai jab chāñd sitāre mujh ko
kaale tālāb meñ ġharqāb nazar aate haiñ
chand rāhat bhare lamhāt kī ḳhvāhish meñ 'obaid'
shahr vaale sabhī betāb nazar aate haiñ
dasht ke beach mein talab nazar aate hain
hum gharibon ko faqat KHwab nazar aate hain
chandni khul ke jo barse kabhi sahraon mein
ret ke zarre bhi mahtab nazar aate hain
jhonpaDe wale to sote hi nahin sawan mein
soen to KHwab mein sailab nazar aate hain
dil taDap uThta hai jab chand sitare mujh ko
kale talab mein gharqab nazar aate hain
chand rahat bhare lamhat ki KHwahish mein 'obaid'
shahr wale sabhi betab nazar aate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.