dasht ke par samundar se pare
dasht ke paar samundar se pare
ek manzar hai mire ghar se pare
koī taarā hai kashish se bāhar
koī rahgīr hai lashkar se pare
haath meñ tesha liye sochtā huuñ
kaun sī shakl hai patthar se pare
dhuup se kah do jalā.e na hameñ
aur bādal se kaho barse pare
dil ke us paar bhī kuchh hai 'qāsim'
hai jo maujūd-o-mayassar se pare
dasht ke par samundar se pare
ek manzar hai mere ghar se pare
koi tara hai kashish se bahar
koi rahgir hai lashkar se pare
hath mein tesha liye sochta hun
kaun si shakl hai patthar se pare
dhup se kah do jalae na hamein
aur baadal se kaho barse pare
dil ke us par bhi kuchh hai 'qasim'
hai jo maujud-o-mayassar se pare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.