dasht ki dhup bhar gaya mujh mein
dasht kī dhuup bhar gayā mujh meñ
merā saaya bikhar gayā mujh meñ
naam ho chāhe aks ho terā
ik jazīra ubhar gayā mujh meñ
paḌh sakā jo varaq varaq na mujhe
vo mukammal utar gayā mujh meñ
us ko guzre guzar ga.iiñ sadiyāñ
ek lamha Thahar gayā mujh meñ
kis ko DhūñDūñ kahāñ kahāñ DhūñDūñ
ḳhushbueñ kaun bhar gayā mujh meñ
qaid-e-tanhā.ī se nikāle vahī
jo mujhe qaid kar gayā mujh meñ
kis kā mātam kare 'salīm' koī
ajnabī thā jo mar gayā mujh meñ
dasht ki dhup bhar gaya mujh mein
mera saya bikhar gaya mujh mein
nam ho chahe aks ho tera
ek jazira ubhar gaya mujh mein
paDh saka jo waraq waraq na mujhe
wo mukammal utar gaya mujh mein
us ko guzre guzar gain sadiyan
ek lamha Thahar gaya mujh mein
kis ko DhunDun kahan kahan DhunDun
KHushbuen kaun bhar gaya mujh mein
qaid-e-tanhai se nikale wahi
jo mujhe qaid kar gaya mujh mein
kis ka matam kare 'salim' koi
ajnabi tha jo mar gaya mujh mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.