dasht kinare ishq pukaren aur kahen ye tum hi ho
dasht kinare ishq pukaren aur kahen ye tum hi ho
Abhishar Geeta Shukl
MORE BYAbhishar Geeta Shukl
dasht kināre ishq pukāreñ aur kaheñ ye tum hī ho
har marham kā ghaav lagā leñ aur kaheñ ye tum hī ho
sab ne kyā kyā ruup gaḌhe haiñ terī husn-bayānī meñ
ham dariyā se chāñd nikāleñ aur kaheñ ye tum hī ho
jitne ishq kaheñ hoñ sab ne aur suneñ hoñ jitne bhī
sab kī ik tasvīr banā leñ aur kaheñ ye tum hī ho
duniyā kī phulvārī meñ jo sab se sundar titlī ho
us titlī kā husn sañvāreñ aur kaheñ ye tum hī ho
jis chiḌiyā ne piñjra toḌā ishq kiyā āzād huī
us chiḌiyā ke pankh nihāreñ aur kaheñ ye tum hī ho
dasht kinare ishq pukaren aur kahen ye tum hi ho
har marham ka ghaw laga len aur kahen ye tum hi ho
sab ne kya kya rup gaDhe hain teri husn-bayani mein
hum dariya se chand nikalen aur kahen ye tum hi ho
jitne ishq kahen hon sab ne aur sunen hon jitne bhi
sab ki ek taswir bana len aur kahen ye tum hi ho
duniya ki phulwari mein jo sab se sundar titli ho
us titli ka husn sanwaren aur kahen ye tum hi ho
jis chiDiya ne pinjra toDa ishq kiya aazad hui
us chiDiya ke pankh nihaaren aur kahen ye tum hi ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.