Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dasht ko barg-o-bar kaun kare

Naeema Jafri Pasha

dasht ko barg-o-bar kaun kare

Naeema Jafri Pasha

MORE BYNaeema Jafri Pasha

    dasht ko barg-o-bār kaun kare

    siine ko lāla-zār kaun kare

    ham vafāoñ pe miT to jā.eñge

    be-vafāoñ se pyaar kaun kare

    us rahmat pe to bharosa hai

    aap e'tibār kaun kare

    maut bar-haq hai aa jā.egī

    maut intizār kaun kare

    sach himmat na thī to chup rahe

    jhuuT kārobār kaun kare

    paañv ke aable to bah nikle

    uñgliyoñ ko figār kaun kare

    dasht ko barg-o-bar kaun kare

    sine ko lala-zar kaun kare

    hum wafaon pe miT to jaenge

    be-wafaon se pyar kaun kare

    us ki rahmat pe to bharosa hai

    aap ka e'tibar kaun kare

    maut bar-haq hai aa hi jaegi

    maut ka intizar kaun kare

    sach ki himmat na thi to chup hi rahe

    jhuT ka karobar kaun kare

    panw ke aable to bah nikle

    ungliyon ko figar kaun kare

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now