dasht mein aag lagane ke liye pani hai
dasht meñ aag lagāne ke liye paanī hai
tū mirī pyaas baḌhāne ke liye paanī hai
mujh ko ik ahd kī mayyat pe ghaḌā phoḌnā hai
so mire paas zamāne ke liye paanī hai
terī tasvīr banāne meñ lahū suukh gayā
terī tasvīr miTāne ke liye paanī hai
ham ye kahte haiñ ki insānī badan hai miTTī
so use taab meñ laane ke liye paanī hai
terī duniyā mirī duniyā se alag ho shāyad
yaañ to har naqsh miTāne ke liye paanī hai
dasht mein aag lagane ke liye pani hai
tu meri pyas baDhane ke liye pani hai
mujh ko ek ahd ki mayyat pe ghaDa phoDna hai
so mere pas zamane ke liye pani hai
teri taswir banane mein lahu sukh gaya
teri taswir miTane ke liye pani hai
hum ye kahte hain ki insani badan hai miTTi
so use tab mein lane ke liye pani hai
teri duniya meri duniya se alag ho shayad
yan to har naqsh miTane ke liye pani hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.