dasht mein aawara hum ko shahr mein ruswa kiya
dasht mein aawara hum ko shahr mein ruswa kiya
Meer Shamsuddeen Faiz
MORE BYMeer Shamsuddeen Faiz
dasht meñ āvāra ham ko shahr meñ rusvā kiyā
kyā kaheñ tum se sulūk is ishq ne kyā kyā kiyā
pūchhte kyā haiñ dam-e-takbīr tū ne kyā kiyā
sūrat-e-ā.īna chehra aap kā dekhā kiyā
jab talak ik-jāñ do-qālib kā tasavvur thā janāb
sam bhī gar tum ne diyā tiryāq maiñ samjhā kiyā
hāfizoñ meñ kyoñ na ho mahshūr majnūñ roz-e-hashr
yaad sub.hānallazī bhī us ne tā-lailā kiyā
dasht mein aawara hum ko shahr mein ruswa kiya
kya kahen tum se suluk is ishq ne kya kya kiya
puchhte kya hain dam-e-takbir tu ne kya kiya
surat-e-aina chehra aap ka dekha kiya
jab talak ik-jaan do-qalib ka tasawwur tha janab
sam bhi gar tum ne diya tiryaq main samjha kiya
hafizon mein kyon na ho mahshur majnun roz-e-hashr
yaad subhanallazi bhi us ne ta-laila kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.