dasht mein dhup ki bhi kami hai kahan
dasht meñ dhuup kī bhī kamī hai kahāñ
paañv shal haiñ magar bebasī hai kahāñ
lams-e-dasht-e-balā kī hī sauġhāt hai
mere atrāf meñ be-hisī hai kahāñ
ḳhaak meñ ḳhaak huuñ be-makāñ be-nishāñ
merā malbūs-e-tan khusravī hai kahāñ
merā soz-e-darūñ mā.il-e-lutf ho
mujh meñ sho'la-fishāñ vo namī hai kahāñ
phūñk de baḌh ke jo tīrgī kā badan
merī āñkhoñ meñ vo raushnī hai kahāñ
saut-o-harf-e-tamannā se ho bā-ḳhabar
aisī idrāk meñ naġhmagī hai kahāñ
dasht mein dhup ki bhi kami hai kahan
panw shal hain magar bebasi hai kahan
lams-e-dasht-e-bala ki hi saughat hai
mere atraf mein be-hisi hai kahan
KHak mein KHak hun be-makan be-nishan
mera malbus-e-tan khusrawi hai kahan
mera soz-e-darun mail-e-lutf ho
mujh mein sho'la-fishan wo nami hai kahan
phunk de baDh ke jo tirgi ka badan
meri aankhon mein wo raushni hai kahan
saut-o-harf-e-tamanna se ho ba-KHabar
aisi idrak mein naghmagi hai kahan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.