dasht mein ek bund pani ki
dasht meñ ek buuñd paanī kī
ye kahānī hai rā.egānī kī
us ne dekhā jo muskurā ke mujhe
maiñ ne had kar dī ḳhush-gumānī kī
aap par e'tibār thā mujh ko
aapne bhī ġhalat-bayānī kī
sāmne laao tīsrā kirdār
dūsrī qist hai kahānī kī
ek ujḌī huī 'imārat kī
kyoñ muhāfiz ne pāsbānī kī
buuñd meñ dekhtī hai bechainī
aañkh Thahrī huī ravānī kī
baat kahnī use nahīñ aa.ī
maiñ ne dushman kī tarjumānī kī
be-gunāhoñ ko pahle qatl kiyā
phir janāzoñ pe gul-fishānī kī
ham ne aapas meñ iḳhtilāf kiyā
ham pe dushman ne hukmrānī kī
dasht mein ek bund pani ki
ye kahani hai raegani ki
us ne dekha jo muskura ke mujhe
main ne had kar di KHush-gumani ki
aap par e'tibar tha mujh ko
aapne bhi ghalat-bayani ki
samne lao tisra kirdar
dusri qist hai kahani ki
ek ujDi hui 'imarat ki
kyon muhafiz ne pasbani ki
bund mein dekhti hai bechaini
aankh Thahri hui rawani ki
baat kahni use nahin aai
main ne dushman ki tarjumani ki
be-gunahon ko pahle qatl kiya
phir janazon pe gul-fishani ki
hum ne aapas mein iKHtilaf kiya
hum pe dushman ne hukmrani ki
- Book : Lafz Mehfooz Kar Liye Jaayen (Pg. 133)
- Author : Asim Wasti
- Publication : Rekhta Publications (2020)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.