dasht mein ghar banati rahti hai
dasht meñ ghar banātī rahtī hai
aañkh manzar banātī rahtī hai
zindagī kuchh hasīn pal de kar
apne number banātī rahtī hai
band kamre meñ saañs lene ko
soch bhī dar banātī rahtī hai
ashk hote haiñ motiyoñ jaise
aañkh zevar banātī rahtī hai
apnī vus.at se zyāda uḌne ko
zindagī par banātī rahtī hai
jaltā rahtā hai bulb kamre meñ
raushnī Dar banātī rahtī hai
bhaap uḌ-uḌ ke merī chaa.e se
us kā paikar banātī rahtī hai
dasht mein ghar banati rahti hai
aankh manzar banati rahti hai
zindagi kuchh hasin pal de kar
apne number banati rahti hai
band kamre mein sans lene ko
soch bhi dar banati rahti hai
ashk hote hain motiyon jaise
aankh zewar banati rahti hai
apni wusat se zyaada uDne ko
zindagi par banati rahti hai
jalta rahta hai bulb kamre mein
raushni Dar banati rahti hai
bhap uD-uD ke meri chae se
us ka paikar banati rahti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.