dasht mein khoe huon ke to nishan milte hain
dasht meñ kho.e huoñ ke to nishāñ milte haiñ
jo magar ghar meñ bhaTak jaa.eñ kahāñ milte haiñ
ye jo hoñToñ pe musallat hai ḳhamoshī kyoñ hai
ham to sunte the yahāñ ahl-e-zabāñ milte haiñ
pūchhte phirte haiñ kuchh din se ka.ī ahl-e-visāl
hijr ke maare hue log kahāñ milte haiñ
ham jo dar-ba-darī pe maa.il haiñ kahāñ jaa.eñ bhalā
ham ko to ḳhvāb meñ bhī sahn-o-makāñ milte haiñ
ek saaya hai jo rahtā hai kam-az-kam tā-shām
varna is dasht meñ ham-rāh kahāñ milte haiñ
haa.e vo log jo ḳhushbū kī tarah hote the
DhūñDhne se bhī havāoñ meñ kahāñ milte haiñ
chand pyāsoñ kī qanā'at kā thā zimma ham par
ye jo ham barf-badan āb-e-ravāñ milte haiñ
vo yaqīnan isī raste hī se guzrā hogā
us kī ḳhushbū ke havāoñ meñ nishāñ milte haiñ
dasht mein khoe huon ke to nishan milte hain
jo magar ghar mein bhaTak jaen kahan milte hain
ye jo honTon pe musallat hai KHamoshi kyon hai
hum to sunte the yahan ahl-e-zaban milte hain
puchhte phirte hain kuchh din se kai ahl-e-visal
hijr ke mare hue log kahan milte hain
hum jo dar-ba-dari pe mail hain kahan jaen bhala
hum ko to KHwab mein bhi sahn-o-makan milte hain
ek saya hai jo rahta hai kam-az-kam ta-sham
warna is dasht mein ham-rah kahan milte hain
hae wo log jo KHushbu ki tarah hote the
DhunDhne se bhi hawaon mein kahan milte hain
chand pyason ki qana'at ka tha zimma hum par
ye jo hum barf-badan aab-e-rawan milte hain
wo yaqinan isi raste hi se guzra hoga
us ki KHushbu ke hawaon mein nishan milte hain
- Book : Aavaazon Ka Raushandaan (Pg. 81)
- Author : Kuldeep Kumar
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.