dasht mein us ka aab-o-dana hai
dasht meñ us kā āb-o-dāna hai
ishq hotā hī sūfiyāna hai
maiñ ġhalat vaqt par huā bedār
ye kisī aur kā zamāna hai
ret paiġhām le ke aa.ī hai
dasht merī taraf ravāna hai
roz ik phuul bhejtā hai mujhe
baaġh se apnā dostāna hai
ai ḳhudā ek baar mil mujh se
ye ta.āruf to ġhā.ebāna hai
dasht mein us ka aab-o-dana hai
ishq hota hi sufiyana hai
main ghalat waqt par hua bedar
ye kisi aur ka zamana hai
ret paigham le ke aai hai
dasht meri taraf rawana hai
roz ek phul bhejta hai mujhe
bagh se apna dostana hai
ai KHuda ek bar mil mujh se
ye taaruf to ghaebana hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.