dasht mein wadi-e-shadab ko chhu kar aaya
dasht meñ vādi-e-shādāb ko chhū kar aayā
maiñ khulī-āñkh hasīñ ḳhvāb ko chhū kar aayā
us ko chhū kar mujhe mahsūs huā hai aise
jaise maiñ resham-o-kim-ḳhvāb ko chhū kar aayā
mujh ko mālūm hai poroñ ke damakne kā javāz
raat maiñ ḳhvāb meñ mahtāb ko chhū kar aayā
jism ke saath mirī ruuh bhī nam hone lagī
jab se us dīda-e-pur-āb ko chhū kar aayā
ruuh kī kaa.ī isī taur se chhaTnā thī so maiñ
sub.h-dam mimbar-o-mehrāb ko chhū kar aayā
murta.ish kirnoñ kā raqs ek ghaḌī bhī na thame
chāñd kis tarz ke tālāb ko chhū kar aayā
dasht mein wadi-e-shadab ko chhu kar aaya
main khuli-ankh hasin KHwab ko chhu kar aaya
us ko chhu kar mujhe mahsus hua hai aise
jaise main resham-o-kim-KHwab ko chhu kar aaya
mujh ko malum hai poron ke damakne ka jawaz
raat main KHwab mein mahtab ko chhu kar aaya
jism ke sath meri ruh bhi nam hone lagi
jab se us dida-e-pur-ab ko chhu kar aaya
ruh ki kai isi taur se chhaTna thi so main
subh-dam mimbar-o-mehrab ko chhu kar aaya
murtaish kirnon ka raqs ek ghaDi bhi na thame
chand kis tarz ke talab ko chhu kar aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.