dasht-navardī meñ koī saat thā
maiñ bhī ajab manzar-e-bāġhāt thā
zarra thā yā ḳhaar thā jo kuchh bhī thā
mere liye shāreh-e-āyāt thā
Duub ga.e is meñ ka.ī puure chāñd
dar tirā chāh-e-tilismāt thā
mujh ko ye dhun saa.e meñ baiTheñ kahīñ
tujh ko magar shauq-e-muhimmāt thā
paañv tale uḌtā huā taḳht-e-zar
sar pe mire sāya-e-jinnāt thā
dasht-nawardi mein koi sat tha
main bhi ajab manzar-e-baghat tha
zarra tha ya KHar tha jo kuchh bhi tha
mere liye shaareh-e-ayat tha
Dub gae is mein kai pure chand
dar tera chah-e-tilismat tha
mujh ko ye dhun sae mein baiThen kahin
tujh ko magar shauq-e-muhimmat tha
panw tale uDta hua taKHt-e-zar
sar pe mere saya-e-jinnat tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.