dast-bardar hua main bhi talabgari se
dast-bardār huā maiñ bhī talabgārī se
ab kahīñ jā ke ifāqa huā bīmārī se
ḳhaak meñ ḳhud ko milāyā to jaḌeñ paa.ī haiñ
kaise rokegā koī mujh ko numūdārī se
TuuT hī jaate haiñ iḳhlās ke putle āḳhir
so mujhe bach ke nikalnā hai adākārī se
ab bhī kuchh chīzeñ haiñ bāzār meñ jo aa.ī nahīñ
ab bhī munkir hai koī merī ḳharīdārī se
ham akahre kabhī bar-vaqt samajh paate nahīñ
kaam kar jaatā hai chup-chāp vo tahdārī se
dil-e-nādān ulaT detā hai aksar ye bisāt
'aql yuuñ chaal bahut chaltī hai ayyārī se
jab achānak hī har ik faisla honā hai yahāñ
mujh ko bhī koī 'ilāqa nahīñ tayyārī se
saḳht-jānī ke mile kitne hī e'zāz mujhe
aur miltā bhī kyā ummīd kī be-zārī se
jaltā uupar se huuñ andar se nikhartā huuñ 'suhail'
ḳhud ko yuuñ aag lagātā huuñ maiñ fankārī se
dast-bardar hua main bhi talabgari se
ab kahin ja ke ifaqa hua bimari se
KHak mein KHud ko milaya to jaDen pai hain
kaise rokega koi mujh ko numudari se
TuT hi jate hain iKHlas ke putle aaKHir
so mujhe bach ke nikalna hai adakari se
ab bhi kuchh chizen hain bazar mein jo aai nahin
ab bhi munkir hai koi meri KHaridari se
hum akahre kabhi bar-waqt samajh pate nahin
kaam kar jata hai chup-chap wo tahdari se
dil-e-nadan ulaT deta hai aksar ye bisat
'aql yun chaal bahut chalti hai ayyari se
jab achanak hi har ek faisla hona hai yahan
mujh ko bhi koi 'ilaqa nahin tayyari se
saKHt-jaani ke mile kitne hi e'zaz mujhe
aur milta bhi kya ummid ki be-zari se
jalta upar se hun andar se nikharta hun 'suhail'
KHud ko yun aag lagata hun main fankari se
- Book : Ghazal Ke Rang (Pg. 195)
- Author : Akram Naqqash, Sohil Akhtar
- Publication : Aflaak Publications, Gulbarga (2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.