dast-e-gul yaad nahin mauj-e-saba yaad nahin
dast-e-gul yaad nahīñ mauj-e-sabā yaad nahīñ
ab mujhe kuchh ruḳh-e-jānāñ ke sivā yaad nahīñ
kaun sī rāhguzar aur kahāñ kī manzil
dil ko Tuk vus.at-e-sahrā ke sivā yaad nahīñ
va.ada-e-vasl unheñ yaad dilāyā to kahā
kaun kahtā hai ki paimān-e-vafā yaad nahīñ
mai-gusāroñ pe vo uftād paḌī hai ab ke
pī ke mahfil meñ bahakne kī adā yaad nahīñ
yād-e-mahbūb ko siine meñ basāyā jab se
ġhair to ġhair ḳhud apnā bhī pata yaad nahīñ
dast-e-gul yaad nahin mauj-e-saba yaad nahin
ab mujhe kuchh ruKH-e-jaanan ke siwa yaad nahin
kaun si rahguzar aur kahan ki manzil
dil ko Tuk wusat-e-sahra ke siwa yaad nahin
wada-e-wasl unhen yaad dilaya to kaha
kaun kahta hai ki paiman-e-wafa yaad nahin
mai-gusaron pe wo uftad paDi hai ab ke
pi ke mahfil mein bahakne ki ada yaad nahin
yaad-e-mahbub ko sine mein basaya jab se
ghair to ghair KHud apna bhi pata yaad nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.