dast-e-hawas se naqd-e-dil-o-jaan bachaiye
dast-e-havas se naqd-e-dil-o-jāñ bachā.iye
ye hai amānat-e-ġham-e-jānāñ bachā.iye
jal jaa.eñ ḳhvāb bhī na kahīñ husn-o-ishq ke
sho.ale lapak rahe haiñ shabistāñ bachā.iye
ahl-e-ḳhirad ne aag lagā.ī hai har taraf
gulshan bachā.iye ki bayābāñ bachā.iye
ahl-e-havas ke haath meñ bhī jaam aa gayā
ab ābrū-e-azmat-e-rindāñ bachā.iye
hangāma-e-hayāt meñ ye kis ko hosh hai
dāman bachā.iye ki garebāñ bachā.iye
har-sū fazā-e-zīst pe chhāyā ġhubār-e-ġham
kyūñkar 'payām' gesū-e-jānāñ bachā.iye
dast-e-hawas se naqd-e-dil-o-jaan bachaiye
ye hai amanat-e-gham-e-jaanan bachaiye
jal jaen KHwab bhi na kahin husn-o-ishq ke
shoale lapak rahe hain shabistan bachaiye
ahl-e-KHirad ne aag lagai hai har taraf
gulshan bachaiye ki bayaban bachaiye
ahl-e-hawas ke hath mein bhi jam aa gaya
ab aabru-e-azmat-e-rindan bachaiye
hangama-e-hayat mein ye kis ko hosh hai
daman bachaiye ki gareban bachaiye
har-su faza-e-zist pe chhaya ghubar-e-gham
kyunkar 'payam' gesu-e-jaanan bachaiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.