dast-e-junun jo band-e-qaba tak pahunch gaya
dast-e-junūñ jo band-e-qabā tak pahuñch gayā
josh-e-bahār husn-e-sabā tak pahuñch gayā
mujh par khulā jo bāb-e-rumūz-e-ḳhud-āgahī
maiñ ḳhud se ho ke zehn-e-ḳhudā tak pahuñch gayā
aayā na zindagī kī haqīqat kā sañg-e-mīl
maiñ sarhad-e-dayār-e-fanā tak pahuñch gayā
us but kī hai atā ki mirā tamtarāq-e-harf
me.arāj-e-hamd-o-mad.h-o-sanā tak pahuñch gayā
ahd-e-bahār meñ asar-e-sohbat-e-jamāl
mere junūñ kī āb-o-havā tak pahuñch gayā
kuchh is tarah se faash huā vo ki aa.ina
har aks rāz-e-husn-o-adā tak pahuñch gayā
kal bazm meñ darāzī-e-shab kī chalī jo baat
maiñ rāz-dāñ thā zulf-e-rasā tak pahuñch gayā
thī aql ham-rikāb so merā junūn-e-shauq
bhar kar zaqand arsh-o-samā tak pahuñch gayā
gūñjī sadā-e-sākit-o-ḳhāmosh har taraf
jab maiñ fareb-e-koh-e-nidā tak pahuñch gayā
'shāriq' ḳhabar nahīñ mirī fitrat kā har amal
kyuuñ zulmat-e-gunāh-o-sazā tak pahuñch gayā
dast-e-junun jo band-e-qaba tak pahunch gaya
josh-e-bahaar husn-e-saba tak pahunch gaya
mujh par khula jo bab-e-rumuz-e-KHud-agahi
main KHud se ho ke zehn-e-KHuda tak pahunch gaya
aaya na zindagi ki haqiqat ka sang-e-mil
main sarhad-e-dayar-e-fana tak pahunch gaya
us but ki hai ata ki mera tamtaraq-e-harf
mearaj-e-hamd-o-madh-o-sana tak pahunch gaya
ahd-e-bahaar mein asar-e-sohbat-e-jamal
mere junun ki aab-o-hawa tak pahunch gaya
kuchh is tarah se fash hua wo ki aaina
har aks raaz-e-husn-o-ada tak pahunch gaya
kal bazm mein daraazi-e-shab ki chali jo baat
main raaz-dan tha zulf-e-rasa tak pahunch gaya
thi aql ham-rikab so mera junun-e-shauq
bhar kar zaqand arsh-o-sama tak pahunch gaya
gunji sada-e-sakit-o-KHamosh har taraf
jab main fareb-e-koh-e-nida tak pahunch gaya
'shaariq' KHabar nahin meri fitrat ka har amal
kyun zulmat-e-gunah-o-saza tak pahunch gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.