dast-e-junun ne mujhko pareshan bana diya
dast-e-junūñ ne mujh ko pareshāñ banā diyā
jo chiiz haath aa.ī garebāñ banā diyā
āḳhir mire junūn-e-salīqa-shi'ār ne
kāñTe ko phuul gul ko gulistāñ banā diyā
ai husn-e-lā-yazāl ye afzāl the tire
jo zauq-e-‘ishq ne mujhe insāñ banā diyā
tū ai ḳhayāl-e-gul sad-o-sī-sāl zindābād
tū ne mire qafas ko gulistāñ banā diyā
husn-e-tajalliyāt ne andāz-e-ḳhās se
ā.īna-e-ḳhayāl ko hairāñ banā diyā
khīñche vo bel-būTe utāre vo phuul phal
dāman ko ashk-e-ḳhūñ ne gulistāñ banā diyā
dil ko hamāre vahshat-e-'āshiq-navāz ne
sarmāya-e-ḳhayāl-e-pareshāñ banā diyā
phūle phale nihāl-e-hayāt us kā ai ḳhudā
jis ne mirī lahad ko gulistāñ banā diyā
aa aa ke 'qadr' zulf-e-pareshāñ kī yaad ne
apne karam se mujh ko pareshāñ banā diyā
dast-e-junun ne mujh ko pareshan bana diya
jo chiz hath aai gareban bana diya
aaKHir mere junun-e-saliqa-shi'ar ne
kanTe ko phul gul ko gulistan bana diya
ai husn-e-la-yazal ye afzal the tere
jo zauq-e-‘ishq ne mujhe insan bana diya
tu ai KHayal-e-gul sad-o-si-sal zindabaad
tu ne mere qafas ko gulistan bana diya
husn-e-tajalliyat ne andaz-e-KHas se
aaina-e-KHayal ko hairan bana diya
khinche wo bel-buTe utare wo phul phal
daman ko ashk-e-KHun ne gulistan bana diya
dil ko hamare wahshat-e-'ashiq-nawaz ne
sarmaya-e-KHayal-e-pareshan bana diya
phule phale nihaal-e-hayat us ka ai KHuda
jis ne meri lahad ko gulistan bana diya
aa aa ke 'qadr' zulf-e-pareshan ki yaad ne
apne karam se mujh ko pareshan bana diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.