dast-e-nazuk se jo parde ko sanwara tumne
dast-e-nāzuk se jo parde ko sañvārā tum ne
maiñ ye samjhā ki navāzish se pukārā tum ne
kyā haqīqat meñ ġham-e-ishq se mānūs hue
yā yuuñ hī pūchh liyā haal hamārā tum ne
mere maktūb-e-mohabbat mujhe vāpas de kar
kar lī to hai ye mohabbat bhī gavārā tum ne
nsibatan aaj hijāboñ meñ izāfa kaisā
ġhāliban jaan liyā dil kā ishārā tum ne
daur-e-māzī ke hasīñ giit sunā kar aksar
aur bhī dard-e-mohabbat ko nikhārā tum ne
rafta rafta na bhaḌak jaa.e vo sho.ala ban kar
rakh diyā hai jo mire dil meñ sharāra tum ne
haif-sad-haif ki duniyā-e-tarab meñ kho kar
kar liyā dard ke māroñ se kinārā tum ne
ashk kahte haiñ ki paḌh paḌh ke 'jalī' kī ġhazleñ
dil meñ mahsūs kiyā dard kā dhārā tum ne
dast-e-nazuk se jo parde ko sanwara tum ne
main ye samjha ki nawazish se pukara tum ne
kya haqiqat mein gham-e-ishq se manus hue
ya yun hi puchh liya haal hamara tum ne
mere maktub-e-mohabbat mujhe wapas de kar
kar li to hai ye mohabbat bhi gawara tum ne
nsibatan aaj hijabon mein izafa kaisa
ghaaliban jaan liya dil ka ishaara tum ne
daur-e-mazi ke hasin git suna kar aksar
aur bhi dard-e-mohabbat ko nikhaara tum ne
rafta rafta na bhaDak jae wo shoala ban kar
rakh diya hai jo mere dil mein sharara tum ne
haif-sad-haif ki duniya-e-tarab mein kho kar
kar liya dard ke maron se kinara tum ne
ashk kahte hain ki paDh paDh ke 'jali' ki ghazlen
dil mein mahsus kiya dard ka dhaara tum ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.