dast-e-qatil mein ye shamshir kahan se aai
dast-e-qatil mein ye shamshir kahan se aai
Shakeela Bano Bhopali
MORE BYShakeela Bano Bhopali
dast-e-qātil meñ ye shamshīr kahāñ se aa.ī
naaz kartī mirī taqdīr kahāñ se aa.ī
chāndnī siine meñ utrī hī chalī jaatī hai
chāñd meñ aap kī tasvīr kahāñ se aa.ī
apnī palkoñ pe sajā laa.ī hai kis ke jalve
zindagī tujh meñ ye tanvīr kahāñ se aa.ī
ho na ho us meñ chaman vāloñ kī sāzish hai koī
phuul ke haath meñ shamshīr kahāñ se aa.ī
ḳhvāb to ḳhair ham us bazm se le aa.e the
lekin is ḳhvāb kī tābīr kahāñ se aa.ī
ḳhūn-e-hasrat hai kahāñ aur ye ezaaz kahāñ
ai hinā tujh meñ ye tauqīr kahāñ se aa.ī
dil se ik aah to niklī hai shakīla baano
lekin is aah meñ tāsīr kahāñ se aa.ī
dast-e-qatil mein ye shamshir kahan se aai
naz karti meri taqdir kahan se aai
chandni sine mein utri hi chali jati hai
chand mein aap ki taswir kahan se aai
apni palkon pe saja lai hai kis ke jalwe
zindagi tujh mein ye tanwir kahan se aai
ho na ho us mein chaman walon ki sazish hai koi
phul ke hath mein shamshir kahan se aai
KHwab to KHair hum us bazm se le aae the
lekin is KHwab ki tabir kahan se aai
KHun-e-hasrat hai kahan aur ye ezaz kahan
ai hina tujh mein ye tauqir kahan se aai
dil se ek aah to nikli hai shakila bano
lekin is aah mein tasir kahan se aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.