dast-e-rahat ne kabhi ranj-e-giran-bari ne
dast-e-rāhat ne kabhī ranj-e-girāñ-bārī ne
kar diyā ḳhatm mujhe 'ishq kī bīmārī ne
raas aa.ī hai na aa.egī ye duniyā lekin
rok rakkhā hai mujhe kuuch kī tayyārī ne
harf us paikar-e-gul par na thā aane vaalā
us ko sharminda kiyā rasm-e-dil-āzārī ne
yūñhī ḳhushbū se mo'attar nahīñ sāñseñ merī
zulf lahrā.ī hai āñgan meñ kisī pyārī ne
haath kyā aa.egā ab jang ko jaarī rakh kar
faisla kar bhī diyā shah kī giraftārī ne
qarya-e-ḳhāk se nisbat kī thī ḳhvāhish kis ko
mujh ko zanjīr kiyā us kī taraf-dārī ne
ḳhush nahīñ aayā mujhe bāġh-e-adan bhī 'sājid'
maar Daalā hai mujhe phir mirī hushyārī ne
dast-e-rahat ne kabhi ranj-e-giran-bari ne
kar diya KHatm mujhe 'ishq ki bimari ne
ras aai hai na aaegi ye duniya lekin
rok rakkha hai mujhe kuch ki tayyari ne
harf us paikar-e-gul par na tha aane wala
us ko sharminda kiya rasm-e-dil-azari ne
yunhi KHushbu se mo'attar nahin sansen meri
zulf lahrai hai aangan mein kisi pyari ne
hath kya aaega ab jang ko jari rakh kar
faisla kar bhi diya shah ki giraftari ne
qarya-e-KHak se nisbat ki thi KHwahish kis ko
mujh ko zanjir kiya us ki taraf-dari ne
KHush nahin aaya mujhe bagh-e-adan bhi 'sajid'
mar Dala hai mujhe phir meri hushyari ne
- Book : Azkar (Pg. 132)
- Author : Amjad Hussain Hafiz Karnataki
- Publication : Karnataka Urdu Academy (issue:23 April,May,June-2013)
- Edition : issue:23 April,May,June-2013
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.