dast-e-saqi mein chhalakta jam hai
dast-e-sāqī meñ chhalaktā jaam hai
piine vaalā larza-bar-andām hai
kyoñ ruḳh-e-anvar hai zulfoñ meñ nihāñ
merī nazroñ meñ sahar bhī shaam hai
apne andāz-e-karam ko dekhiye
merī tauba par abas ilzām hai
chalte chalte jis jagah Thahre qadam
merī manzil bas isī kā naam hai
hai koī mahrūm koī shād-kām
kyā tirī baḳhshish isī kā naam hai
un kā va.ada aur iifā kī ummīd
ye tirā 'shā.eq' ḳhayāl-e-ḳhām hai
dast-e-saqi mein chhalakta jam hai
pine wala larza-bar-andam hai
kyon ruKH-e-anwar hai zulfon mein nihan
meri nazron mein sahar bhi sham hai
apne andaz-e-karam ko dekhiye
meri tauba par abas ilzam hai
chalte chalte jis jagah Thahre qadam
meri manzil bas isi ka nam hai
hai koi mahrum koi shad-kaam
kya teri baKHshish isi ka nam hai
un ka wada aur ifa ki ummid
ye tera 'shaeq' KHayal-e-KHam hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.