dast-e-saqi sharab hota hai
dast-e-sāqī sharāb hotā hai
ruḳh-e-jānāñ gulāb hotā hai
jaise hotā hai ek kār-e-gunāh
vaise kār-e-savāb hotā hai
jab vo detā hai dostī meñ fareb
dil mirā aab aab hotā hai
kisī dariyā-e-maujzan kī tarah
aañkh meñ bhī chanāb hotā hai
kaun is par hazār jaañ se fidā
maiñ hī merā javāb hotā hai
aks añgḌā.ī le bhī saktā hai
aa.ina mahv-e-ḳhvāb hotā hai
charḳh-e-raushan ke nuur se 'ādil'
band zulmat kā baab hotā hai
dast-e-saqi sharab hota hai
ruKH-e-jaanan gulab hota hai
jaise hota hai ek kar-e-gunah
waise kar-e-sawab hota hai
jab wo deta hai dosti mein fareb
dil mera aab aab hota hai
kisi dariya-e-maujzan ki tarah
aankh mein bhi chanab hota hai
kaun is par hazar jaan se fida
main hi mera jawab hota hai
aks angDai le bhi sakta hai
aaina mahw-e-KHwab hota hai
charKH-e-raushan ke nur se 'adil'
band zulmat ka bab hota hai
- Book : Inpage File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.